KAB JEENA SEEKHEGA
INSAAN??
Dil me khauf liye
zinda hai har insaan, kab jeena sikhega insaan?
Dil me jal rhi law ko
kab pehchaanega insaan?
Khawabo ke andhero me doobti apni parchhaii ko, kab pehchaanega insaan.?
Kab jeena seekhega insaan?
Khawabo ke andhero me doobti apni parchhaii ko, kab pehchaanega insaan.?
Kab jeena seekhega insaan?
Safalta ki aarzoo me, peeche
chhoote sapno ko, kab pura karega insaan?
Jugnu ki roshni ki tarah, apni zindagi ki jagmagaahat ko, kaise barkarar rakhega insaan?
Kab jeena seekhega insaan?
Jugnu ki roshni ki tarah, apni zindagi ki jagmagaahat ko, kaise barkarar rakhega insaan?
Kab jeena seekhega insaan?
Zindagi ke har rang
se, kab khelega insaan?
Taash ke patton ki tarah bikharti zindagi ko, kab sambhaalega insaan?
Kab jeena seekhega insaan?
Taash ke patton ki tarah bikharti zindagi ko, kab sambhaalega insaan?
Kab jeena seekhega insaan?
Doston ki atkheliyon
se, kab khush hoga insaan?
Kisiki muskuraahat dekh, apni zindagi se pyar krna, kab seekhega insaan?
Kab jeena seekhega insaan?
Kisiki muskuraahat dekh, apni zindagi se pyar krna, kab seekhega insaan?
Kab jeena seekhega insaan?
Kab jeena seekhega insaan?
P.S: After a very long time..I penned down my feelings into a poem with the help of my bestie. Truly hope you will like it.
Your feedback is my ingredient. Do
comment. :)